jidhar rasta nahin hota udhar rasta banate hain
jidhar rasta nahin hota udhar rasta banate hain
Sayyed Riyaz Raheem
MORE BYSayyed Riyaz Raheem
jidhar rasta nahīñ hotā udhar rasta banāte haiñ
isī duniyā meñ rah kar ham na.ī duniyā banāte haiñ
unhīñ ke dar pe duniyā sar jhukāne pe hai āmāda
jo hañstī kheltī bastī ko sannāTā banāte haiñ
safar kā silsila yuuñ hī nahīñ zinda hai sadiyoñ se
hamāre ḳhvāb sahrāoñ meñ bhī dariyā banāte haiñ
koī bhī khel ho ham khelte haiñ apnī shartoñ par
jise mohara samajhte haiñ use mohara banāte haiñ
na dīvāroñ se kuchh matlab na sarhad apnī rāhoñ meñ
mohabbat ke ujāle se nayā naqsha banāte haiñ
jidhar rasta nahin hota udhar rasta banate hain
isi duniya mein rah kar hum nai duniya banate hain
unhin ke dar pe duniya sar jhukane pe hai aamada
jo hansti khelti basti ko sannaTa banate hain
safar ka silsila yun hi nahin zinda hai sadiyon se
hamare KHwab sahraon mein bhi dariya banate hain
koi bhi khel ho hum khelte hain apni sharton par
jise mohara samajhte hain use mohara banate hain
na diwaron se kuchh matlab na sarhad apni rahon mein
mohabbat ke ujale se naya naqsha banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.