Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jidhar teri nigah-e-kaif-bar guzri hai

Mukhtar Ashiqi Jaunpuri

jidhar teri nigah-e-kaif-bar guzri hai

Mukhtar Ashiqi Jaunpuri

MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri

    jidhar tirī nigah-e-kaif-bār guzrī hai

    udhar se rahmat-e-parvardigār guzrī hai

    vo zindagī to sarāpā-bahār guzrī hai

    jo rāh-e-ishq meñ mastānā-vār guzrī hai

    ik aisā vaqt bhī aayā hai rāh-e-ulfat meñ

    mirī hayāt mujhe nāgavār guzrī hai

    jahāñ pe hazrat-e-jibra.īl par na maar sake

    vahāñ se merī nazar baar baar guzrī hai

    sajā huā thā sitāroñ se dāman-e-hastī

    shab-e-firāq baḌī shāndār guzrī hai

    kahīñ se DhūñDh ke de vo raat ai nāseh

    jo un ke saath lab-e-jū-e-bār guzrī hai

    guzar gayā huuñ junūñ meñ jidhar se ai 'muḳhtār'

    udhar se bāġh-e-jināñ bahār guzrī hai

    jidhar teri nigah-e-kaif-bar guzri hai

    udhar se rahmat-e-parwardigar guzri hai

    wo zindagi to sarapa-bahaar guzri hai

    jo rah-e-ishq mein mastana-war guzri hai

    ek aisa waqt bhi aaya hai rah-e-ulfat mein

    meri hayat mujhe nagawar guzri hai

    jahan pe hazrat-e-jibrail par na mar sake

    wahan se meri nazar bar bar guzri hai

    saja hua tha sitaron se daman-e-hasti

    shab-e-firaq baDi shandar guzri hai

    kahin se DhunDh ke la de wo raat ai naseh

    jo un ke sath lab-e-ju-e-bar guzri hai

    guzar gaya hun junun mein jidhar se ai 'muKHtar'

    udhar se bagh-e-jinan ki bahaar guzri hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now