jigar ka dard jigar mein rahe to achchha hai
jigar ka dard jigar mein rahe to achchha hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
jigar kā dard jigar meñ rahe to achchhā hai
jo baat ghar kī ho ghar meñ rahe to achchhā hai
ma.āl-e-kār se Darnā to buzdilī hai magar
ma.āl-e-kār nazar meñ rahe to achchhā hai
jo gir sake na kabhī aañkh se guhar ban kar
vo ashk dīda-e-tar meñ rahe to achchhā hai
ravāñ-davāñ hai idhar umr jānib-e-manzil
idhar ye jaam safar meñ rahe to achchhā hai
pare karo na abhī gesuoñ ko aariz se
ye shaam qurb-e-sahar meñ rahe to achchhā hai
ajiib shai hai haqīqat meñ soz-e-mahrūmī
fuġhāñ talāsh-e-asar meñ rahe to achchhā hai
jale jale na jale āshiyāñ magar ye 'sahar'
nigāh-e-barq-o-sharar meñ rahe to achchhā hai
jigar ka dard jigar mein rahe to achchha hai
jo baat ghar ki ho ghar mein rahe to achchha hai
maal-e-kar se Darna to buzdili hai magar
maal-e-kar nazar mein rahe to achchha hai
jo gir sake na kabhi aankh se guhar ban kar
wo ashk dida-e-tar mein rahe to achchha hai
rawan-dawan hai idhar umr jaanib-e-manzil
idhar ye jam safar mein rahe to achchha hai
pare karo na abhi gesuon ko aariz se
ye sham qurb-e-sahar mein rahe to achchha hai
ajib shai hai haqiqat mein soz-e-mahrumi
fughan talash-e-asar mein rahe to achchha hai
jale jale na jale aashiyan magar ye 'sahar'
nigah-e-barq-o-sharar mein rahe to achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.