jigar ka karb nazar ki jalan chhupata hua
jigar kā karb nazar kī jalan chhupātā huā
maiñ jab bhī us se milā huuñ to muskurātā huā
samundaroñ kī tahoñ se kabhī ufuq se pare
maiñ har dayār se guzrā huuñ gungunātā huā
'ajīb shahr hai ye shahr-e-umr bhī jis meñ
har ek lamha milā aa.ina dikhātā huā
maiñ hāsidoñ ke diloñ meñ hamesha huuñ mahfūz
añdherī qabroñ meñ rahtā huuñ jagmagātā huā
mire liye to urūj-o-zavāl yaksāñ haiñ
na koī aatā huā hai na koī jaatā huā
zamāne bhar kī bulandī hai mere qadmoñ meñ
maiñ vo faqīr ki chaltā huuñ sar jhukātā huā
'ajīb shaḳhs hai ye 'aḳhtar'-e-pareshāñ bhī
har ek haal meñ rahtā hai muskurātā huā
jigar ka karb nazar ki jalan chhupata hua
main jab bhi us se mila hun to muskuraata hua
samundaron ki tahon se kabhi ufuq se pare
main har dayar se guzra hun gungunata hua
'ajib shahr hai ye shahr-e-umr bhi jis mein
har ek lamha mila aaina dikhata hua
main hasidon ke dilon mein hamesha hun mahfuz
andheri qabron mein rahta hun jagmagata hua
mere liye to uruj-o-zawal yaksan hain
na koi aata hua hai na koi jata hua
zamane bhar ki bulandi hai mere qadmon mein
main wo faqir ki chalta hun sar jhukata hua
'ajib shaKHs hai ye 'aKHtar'-e-pareshan bhi
har ek haal mein rahta hai muskuraata hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.