jigar ka KHun pilao to sher hota hai
jigar kā ḳhuun pilāo to she'r hotā hai
qalam ke naaz uThāo to she'r hotā hai
siyāh zehn kī shāḳhoñ se koī nūrānī
ḳhayāl toḌ ke laao to she'r hotā hai
tasavvurāt kī palkoñ se ek 'umr talak
ġhazal ke paañv dabāo to she'r hotā hai
ḳhayāl ḳhāk-nashīñ ho to she'r kyā hogā
havā meñ taḳht bichhāo to she'r hotā hai
siyāh shab kā badan oḌh kar tasavvur meñ
diye kī lau se nahāo to she'r hotā hai
jigar ka KHun pilao to she'r hota hai
qalam ke naz uThao to she'r hota hai
siyah zehn ki shaKHon se koi nurani
KHayal toD ke lao to she'r hota hai
tasawwuraat ki palkon se ek 'umr talak
ghazal ke panw dabao to she'r hota hai
KHayal KHak-nashin ho to she'r kya hoga
hawa mein taKHt bichhao to she'r hota hai
siyah shab ka badan oDh kar tasawwur mein
diye ki lau se nahao to she'r hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.