jigar ke chaak pe raqsan ye pyar ki miTTi
jigar ke chaak pe raqsāñ ye pyaar kī miTTī
mahak rahī hai tire intizār kī miTTī
shikasta hijr ke mausam meñ ham ne dekhī hai
ḳhizāñ kī shakl meñ fasl-e-bahār kī miTTī
guzarte vaqt kī mānind mere hāthoñ se
phisal na jaa.e tire e.atibār kī miTTī
maiñ us ke badle meñ de duuñ jahān kī daulat
kahīñ mile jo mujhe kū-e-yār kī miTTī
lagī hai bhiiḌ farishtoñ kī ḳhair-maqdam ko
zarūr hai ye kisī dīn-dār kī miTTī
kise ḳhabar hai ki hijrat kī āñdhiyoñ ke sabab
kahāñ ko jā.egī kis ke dayār kī miTTī
simaT hī jā.egī ik roz sun le ‘dīp-shikhā'
ye tere jism kī tere hisār kī miTTī
jigar ke chaak pe raqsan ye pyar ki miTTi
mahak rahi hai tere intizar ki miTTi
shikasta hijr ke mausam mein hum ne dekhi hai
KHizan ki shakl mein fasl-e-bahaar ki miTTi
guzarte waqt ki manind mere hathon se
phisal na jae tere eatibar ki miTTi
main us ke badle mein de dun jahan ki daulat
kahin mile jo mujhe ku-e-yar ki miTTi
lagi hai bhiD farishton ki KHair-maqdam ko
zarur hai ye kisi din-dar ki miTTi
kise KHabar hai ki hijrat ki aandhiyon ke sabab
kahan ko jaegi kis ke dayar ki miTTi
simaT hi jaegi ek roz sun le ‘dip-shikha'
ye tere jism ki tere hisar ki miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.