jigar ke chhaalon ko dida-e-tar hara tu rakhna baras baras ke

jigar ke chhaalon ko dida-e-tar hara tu rakhna baras baras ke
Shabbir Rampuri
MORE BYShabbir Rampuri
jigar ke chhāloñ ko dīda-e-tar harā tū rakhnā baras baras ke
kahīñ na ban jaa.eñ daaġh kaale ye soz-e-ġham se jhulas jhulas ke
hamāre dil meñ bhī hasrateñ thiiñ hameñ bhī hāsil masarrateñ thiiñ
vo miT chukīñ ab jo ādateñ thiiñ ye tazkire haiñ ka.ī baras ke
na ab hai saaqī na ab hai sāġhar vo din ga.e aish thā mayassar
hameñ rulāyā hai ḳhuun shab bhar ghaTā ne shab ko baras baras ke
miTā.īñ ġham-ḳhvāriyoñ kī rāheñ dikhā.īñ kyoñ yaas kī nigāheñ
abas bharīñ maiñ ne sard aaheñ ki uḌ ga.e hosh ham-nafas ke
kabhī chaman ke the rahne vaale kabhī the āzād ranj-o-ġham se
na pūchh sayyād vo fasāne ki ab to qaidī haiñ ham qafas ke
nigāh 'shabbīr' se jo pherī to tū ne saaqī pilā.ī kyūñkar
ye be-ruḳhī aisī be-vafā.ī na phir chakhā.ī lagā ke chaske
jigar ke chhaalon ko dida-e-tar hara tu rakhna baras baras ke
kahin na ban jaen dagh kale ye soz-e-gham se jhulas jhulas ke
hamare dil mein bhi hasraten thin hamein bhi hasil masarraten thin
wo miT chukin ab jo aadaten thin ye tazkire hain kai baras ke
na ab hai saqi na ab hai saghar wo din gae aish tha mayassar
hamein rulaya hai KHun shab bhar ghaTa ne shab ko baras baras ke
miTain gham-KHwariyon ki rahen dikhain kyon yas ki nigahen
abas bharin main ne sard aahen ki uD gae hosh ham-nafas ke
kabhi chaman ke the rahne wale kabhi the aazad ranj-o-gham se
na puchh sayyaad wo fasane ki ab to qaidi hain hum qafas ke
nigah 'shabbir' se jo pheri to tu ne saqi pilai kyunkar
ye be-ruKHi aisi be-wafai na phir chakhai laga ke chaske
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 73)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.