jigar mein dard na rakh dil mein iztirab na rakh
jigar mein dard na rakh dil mein iztirab na rakh
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
jigar meñ dard na rakh dil meñ iztirāb na rakh
tū apnī āñkhoñ meñ us bevafā ke ḳhvāb na rakh
junūñ-zada hī nikāleñge ab koī sūrat
ḳhirad-parastoñ se ummīd-e-inqalāb na rakh
amīr-e-shahr kī ḳhushnūdiyoñ se kyā hāsil
tū rehn us ke liye hoñToñ ke gulāb na rakh
na jaane kaun se darvāze se vo dāḳhil ho
kisī bhī daur meñ band apne dil ke baab na rakh
safar agar hai zarūrī to jā magar ai dost
kisī bhī shaḳhs ko hamrāh-o-ham-rikāb na rakh
vo apne fan kī badaulat kahāñ nahīñ maqbūl
hunar-varoñ ke sar ehsān-e-intiḳhāb na rakh
shabāb to hai ba-zāt-e-ḳhud ek hangāma
tū mujh pe tohmat-e-hangāma-e-shabāb na rakh
ḳhud apnā tajziya kar apnī ḳhāmiyoñ ko DhūñD
kisī kī zaat pe ilzām-e-ijtināb na rakh
jo honā hai yahīñ ho jaa.e ai mire maulā
mirā hisāb sar-e-roz-e-ehtisāb na rakh
jo mujh se milnā hai 'rahbar' to mil khule dil se
ki darmiyāñ koī parda koī hijāb na rakh
jigar mein dard na rakh dil mein iztirab na rakh
tu apni aankhon mein us bewafa ke KHwab na rakh
junun-zada hi nikalenge ab koi surat
KHirad-paraston se ummid-e-inqalab na rakh
amir-e-shahr ki KHushnudiyon se kya hasil
tu rehn us ke liye honTon ke gulab na rakh
na jaane kaun se darwaze se wo daKHil ho
kisi bhi daur mein band apne dil ke bab na rakh
safar agar hai zaruri to ja magar ai dost
kisi bhi shaKHs ko hamrah-o-ham-rikab na rakh
wo apne fan ki badaulat kahan nahin maqbul
hunar-waron ke sar ehsan-e-intiKHab na rakh
shabab to hai ba-zat-e-KHud ek hangama
tu mujh pe tohmat-e-hangama-e-shabab na rakh
KHud apna tajziya kar apni KHamiyon ko DhunD
kisi ki zat pe ilzam-e-ijtinab na rakh
jo hona hai yahin ho jae ai mere maula
mera hisab sar-e-roz-e-ehtisab na rakh
jo mujh se milna hai 'rahbar' to mil khule dil se
ki darmiyan koi parda koi hijab na rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.