jigar mein soz hai didar-e-yar se pahle
jigar mein soz hai didar-e-yar se pahle
Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi
MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi
jigar meñ soz hai dīdār-e-yār se pahle
chaman meñ aag lagī hai bahār se pahle
tah-e-mazār kiye kis ne dāġh-e-dil raushan
patange aa ga.e sham-e-mazār se pahle
ye jalva-gāh salāmat mujhe vahī de do
jo mahviyat thī ġham-e-intizār se pahle
maza qarār meñ zaa.id ki be-qarārī meñ
ye pūchh mere dil-e-be-qarār se pahle
ilāhī kaun thā taḳhrīb-e-gulsitāñ meñ nihāñ
ḳhizāñ ke bhes meñ fasl-e-bahār se pahle
ghaTā ye chhā.ī huī be-sabab nahīñ 'ahsan'
dhuāñ uThā thā dil-e-sogvār se pahle
jigar mein soz hai didar-e-yar se pahle
chaman mein aag lagi hai bahaar se pahle
tah-e-mazar kiye kis ne dagh-e-dil raushan
patange aa gae sham-e-mazar se pahle
ye jalwa-gah salamat mujhe wahi de do
jo mahwiyat thi gham-e-intizar se pahle
maza qarar mein zaid ki be-qarari mein
ye puchh mere dil-e-be-qarar se pahle
ilahi kaun tha taKHrib-e-gulsitan mein nihan
KHizan ke bhes mein fasl-e-bahaar se pahle
ghaTa ye chhai hui be-sabab nahin 'ahsan'
dhuan uTha tha dil-e-sogwar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.