jigar pe dagh liye dil pe zaKHm khae hue
jigar pe daaġh liye dil pe zaḳhm khaa.e hue
chaman ke phuul bhī kyā kyā haiñ rang laa.e hue
haiñ zarre zarre ko ḳhurshīd-o-mah banā.e hue
ye kis ke jalve jahāñ bhar meñ haiñ samā.e hue
dikhā de tab-e-rasā kuchh bulandī-e-afkār
mire ḳhayāl kī duniyā meñ haiñ vo aa.e hue
ruḳh-e-sabīh se kis ne naqāb uThā.ī hai
sitāre bām-e-falak ke haiñ jhilmilā.e hue
bayāñ karūñ to taḌap jaa.e barq-e-aiman bhī
mirī nigāh meñ jalve haiñ vo samā.e hue
kisī hasīn kī nīchī nazar ḳhudā kī panāh
hazāroñ fitna-e-mahshar ko hai uThā.e hue
ye nā-rasā.ī-e-qismat bhī ik tamāshā hai
bigaḌ ga.e haiñ mire khel sab banā.e hue
khulā na rāz-e-shab-e-ġham ki ho ga.e ruḳhsat
sitāre sub.h ke dāman meñ muñh chhupā.e hue
natīja-e-shab-e-va.ada samajh ke ham 'muslim'
abhī se sham-e-tamannā ko haiñ bujhā.e hue
jigar pe dagh liye dil pe zaKHm khae hue
chaman ke phul bhi kya kya hain rang lae hue
hain zarre zarre ko KHurshid-o-mah banae hue
ye kis ke jalwe jahan bhar mein hain samae hue
dikha de tab-e-rasa kuchh bulandi-e-afkar
mere KHayal ki duniya mein hain wo aae hue
ruKH-e-sabih se kis ne naqab uThai hai
sitare baam-e-falak ke hain jhilmilae hue
bayan karun to taDap jae barq-e-aiman bhi
meri nigah mein jalwe hain wo samae hue
kisi hasin ki nichi nazar KHuda ki panah
hazaron fitna-e-mahshar ko hai uThae hue
ye na-rasai-e-qismat bhi ek tamasha hai
bigaD gae hain mere khel sab banae hue
khula na raaz-e-shab-e-gham ki ho gae ruKHsat
sitare subh ke daman mein munh chhupae hue
natija-e-shab-e-wada samajh ke hum 'muslim'
abhi se sham-e-tamanna ko hain bujhae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.