Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ji bahalta hai mohabbat mein kahin hamdam ghalat

Mohammad Lutfuddin Khan Lutf

ji bahalta hai mohabbat mein kahin hamdam ghalat

Mohammad Lutfuddin Khan Lutf

MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf

    bahaltā hai mohabbat meñ kahīñ hamdam ġhalat

    kahne sunñe se bhī hotā hai kisī ġham ġhalat

    aisī bātoñ tavaqqo' rakhiyegā aġhyār se

    jhuuT ham kahte haiñ tum se baat koī ham ġhalat

    us ne merā qissa-e-ġham jhuuT jaanā kis tarah

    nāma-bar mazmūn-e-ḳhat meñ thā bahut kam ġhalat

    haiñ havā.ī terī bāteñ terā sab kahnā hai jhuuT

    ai sabā sābit huī terī ḳhabar har-dam ġhalat

    un ke ab qaul-o-qasam hone lage kuchh-kuchh sahīh

    un ke va.ade ab to kuchh hone lage kam-kam ġhalat

    kaun se va.ade ko un ke jāniye dil meñ sahīh

    qaul dete haiñ vo jhūTā dete haiñ vo dam ġhalat

    'lutf' se jo kuchh kahā ab tak huā vo sab sahīh

    saare va.ade aap ne jhūTe kiye paiham ġhalat

    ji bahalta hai mohabbat mein kahin hamdam ghalat

    kahne sunne se bhi hota hai kisi ka gham ghalat

    aisi baaton ki tawaqqo' rakhiyega aghyar se

    jhuT hum kahte hain tum se baat koi hum ghalat

    us ne mera qissa-e-gham jhuT jaana kis tarah

    nama-bar mazmun-e-KHat mein tha bahut hi kam ghalat

    hain hawai teri baaten tera sab kahna hai jhuT

    ai saba sabit hui teri KHabar har-dam ghalat

    un ke ab qaul-o-qasam hone lage kuchh-kuchh sahih

    un ke wade ab to kuchh hone lage kam-kam ghalat

    kaun se wade ko un ke jaaniye dil mein sahih

    qaul dete hain wo jhuTa dete hain wo dam ghalat

    'lutf' se jo kuchh kaha ab tak hua wo sab sahih

    sare wade aap ne jhuTe kiye paiham ghalat

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now