ji bhar ke mujhe raat ko rone nahin dete
jī bhar ke mujhe raat ko rone nahīñ dete
sonā bhī agar chāhūñ to sone nahīñ dete
har vaqt nasīhat kā khulā rahtā hai daftar
dāman ko gunāhoñ meñ bhigone nahīñ dete
ab shahr ke hangāmoñ se ghabrāne lagā huuñ
khonā bhī jo chāhūñ to ye khone nahīñ dete
kahte haiñ ye hai lutf-e-sitamgar kī nishānī
vo dil kā mire daaġh bhī dhone nahīñ dete
rakh dete haiñ hāthoñ ko baḌe naaz se muñh par
jo baat hai honī ise hone nahīñ dete
kyā baat hai tum apnī hasīñ sāñsoñ kī ḳhushbū
mujh ko dil-o-dīda meñ samone nahīñ dete
'nāzir' mirī shīrīnī-e-guftār meñ kuchh log
hālāt kī talḳhī ko Dubone nahīñ dete
ji bhar ke mujhe raat ko rone nahin dete
sona bhi agar chahun to sone nahin dete
har waqt nasihat ka khula rahta hai daftar
daman ko gunahon mein bhigone nahin dete
ab shahr ke hangamon se ghabrane laga hun
khona bhi jo chahun to ye khone nahin dete
kahte hain ye hai lutf-e-sitamgar ki nishani
wo dil ka mere dagh bhi dhone nahin dete
rakh dete hain hathon ko baDe naz se munh par
jo baat hai honi ise hone nahin dete
kya baat hai tum apni hasin sanson ki KHushbu
mujh ko dil-o-dida mein samone nahin dete
'nazir' meri shirini-e-guftar mein kuchh log
haalat ki talKHi ko Dubone nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.