ji kar kabhi mare kabhi mar kar jiya kiye
jī kar kabhī mare kabhī mar kar jiyā kiye
kyā kahiye hijr-e-yār meñ kyā kyā kiyā kiye
baiThā huuñ phir tasavvur-e-zulf-e-dutā kiye
dil ko asīr-e-halqa-e-dām-e-balā kiye
maiñ kyā huuñ merī koshish-e-nākām kyā milā
bigḌe hue tire hī karam se banā kiye
vo raah tere vahshī ne tai kar liye tamām
jin meñ janāb-e-ḳhizr bhaTakte phirā kiye
us ne mirī umiid ke dāman ko bhar diyā
maiñ ne kabhī darāz jo dast-e-du'ā kiye
allah re ḳhud-numā.ī-e-husn-e-fareb-kār
ā.īna dekh dekh vo hairāñ huā kiye
tirchhī nazar ko phir bhī rahā pās-e-ehtiyāt
tīroñ ne par nishāne na hargiz ḳhatā kiye
kashtī ko 'nūr' bahr-e-havādis meñ Daal kar
baiThā hai nā-ḳhudā bhī supurd-e-ḳhudā kiye
ji kar kabhi mare kabhi mar kar jiya kiye
kya kahiye hijr-e-yar mein kya kya kiya kiye
baiTha hun phir tasawwur-e-zulf-e-duta kiye
dil ko asir-e-halqa-e-dam-e-bala kiye
main kya hun meri koshish-e-nakaam kya mila
bigDe hue tere hi karam se bana kiye
wo rah tere wahshi ne tai kar liye tamam
jin mein janab-e-KHizr bhaTakte phira kiye
us ne meri umid ke daman ko bhar diya
main ne kabhi daraaz jo dast-e-du'a kiye
allah re KHud-numai-e-husn-e-fareb-kar
aaina dekh dekh wo hairan hua kiye
tirchhi nazar ko phir bhi raha pas-e-ehtiyat
tiron ne par nishane na hargiz KHata kiye
kashti ko 'nur' bahr-e-hawadis mein Dal kar
baiTha hai na-KHuda bhi supurd-e-KHuda kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.