ji larazta hai jaane kya hoga
jī laraztā hai jaane kyā hogā
jis ghaḌī un kā sāmnā hogā
jis jagah un kā naqsh-e-pā hogā
merā sajda vahīñ adā hogā
raah kī chheḌ se zarā bach kar
chal koī raah dekhtā hogā
apne chehre ke daaġh dekheñge
rū-ba-rū jab vo aa.ina hogā
jholiyāñ kaun bhar gayā sab kī
chhup ke ḳhairāt bāñTtā hogā
bas usī moḌ pe Thahar ai 'nasīm'
vo darīche se jhāñktā hogā
ji larazta hai jaane kya hoga
jis ghaDi un ka samna hoga
jis jagah un ka naqsh-e-pa hoga
mera sajda wahin ada hoga
rah ki chheD se zara bach kar
chal koi rah dekhta hoga
apne chehre ke dagh dekhenge
ru-ba-ru jab wo aaina hoga
jholiyan kaun bhar gaya sab ki
chhup ke KHairaat banTta hoga
bas usi moD pe Thahar ai 'nasim'
wo dariche se jhankta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.