ji mein rah jae jaan mein rah jae
jī meñ rah jaa.e jaan meñ rah jaa.e
koī sūrat gumān meñ rah jaa.e
ishq vo hai jo dāġh-dār kare
dard vo jo nishān meñ rah jaa.e
aag aisī ho aa.ina chhalke
rang aisā ho dhyān meñ rah jaa.e
ḳhushbū aisī ho rāsta roke
aur badan imtihān meñ rah jaa.e
qurb aisā ho jism pighlā de
aañch is nīm-jān meñ rah jaa.e
ḳhaak aisī uḌā.ūñ qadmoñ se
hādisa āsmān meñ rah jaa.e
phuul aisā khile jo khiltā rahe
aur ḳhushbū chaTān meñ rah jaa.e
ḳhvāb aisā ho aañkh khulne par
zā.iqa sā zabān meñ rah jaa.e
qāmat aisī ho is qayāmat kī
sirf luknat bayān meñ rah jaa.e
zaḳhm aisā kabhī lage dil par
raushnī itr-dān meñ rah jaa.e
vahshat aisī jo dar-ba-dar ghūme
dasht vo jo makān meñ rah jaa.e
karvaT aisī ki silvaTeñ paḌ jaa.eñ
siskī aisī jo kaan meñ rah jaa.e
fāsla ho tavīl sā aur phir
ghar kahīñ darmiyān meñ rah jaa.e
ji mein rah jae jaan mein rah jae
koi surat guman mein rah jae
ishq wo hai jo dagh-dar kare
dard wo jo nishan mein rah jae
aag aisi ho aaina chhalke
rang aisa ho dhyan mein rah jae
KHushbu aisi ho rasta roke
aur badan imtihan mein rah jae
qurb aisa ho jism pighla de
aanch is nim-jaan mein rah jae
KHak aisi uDaun qadmon se
hadisa aasman mein rah jae
phul aisa khile jo khilta rahe
aur KHushbu chaTan mein rah jae
KHwab aisa ho aankh khulne par
zaiqa sa zaban mein rah jae
qamat aisi ho is qayamat ki
sirf luknat bayan mein rah jae
zaKHm aisa kabhi lage dil par
raushni itr-dan mein rah jae
wahshat aisi jo dar-ba-dar ghume
dasht wo jo makan mein rah jae
karwaT aisi ki silwaTen paD jaen
siski aisi jo kan mein rah jae
fasla ho tawil sa aur phir
ghar kahin darmiyan mein rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.