ji raha hun abhi tadfin se roka jae
jī rahā huuñ abhī tadfīn se rokā jaa.e
zindagī ko mirī tauhīn se rokā jaa.e
aql ne dī hai duhā.ī ki bahar-taur mujhe
dil kī har baat pe āmīn se rokā jaa.e
solah-singhār udāsī ne kiye haiñ phir se
is ko ārā.ish o taz.īn se rokā jaa.e
ye kitābeñ to mohabbat kā sabaq detī haiñ
in ko nafrat ke mazāmīn se rokā jaa.e
rāste band kiye jaatā hai dīvānoñ par
dasht ko aise qavānīn se rokā jaa.e
girya ye girya-e-yāqūb se bhī aage kā
ab hameñ sabr kī talqīn se rokā jaa.e
Dhaal kī koī zarūrat nahīñ 'mas.ūd' agar
vaar ko sūra-e-yāsīn se rokā jaa.e
ji raha hun abhi tadfin se roka jae
zindagi ko meri tauhin se roka jae
aql ne di hai duhai ki bahar-taur mujhe
dil ki har baat pe aamin se roka jae
solah-singhaar udasi ne kiye hain phir se
is ko aaraish o tazin se roka jae
ye kitaben to mohabbat ka sabaq deti hain
in ko nafrat ke mazamin se roka jae
raste band kiye jata hai diwanon par
dasht ko aise qawanin se roka jae
girya ye girya-e-yaqub se bhi aage ka
ab hamein sabr ki talqin se roka jae
Dhaal ki koi zarurat nahin 'masud' agar
war ko sura-e-yasin se roka jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.