ji rahe ho apni gardan tan kar
jī rahe ho apnī gardan taan kar
kyā milā aadhe ḳhudā ko maan kar
ye jahāñ shāyad kisī kā ḳhvāb hai
ḳhvāb jo dekhā gayā ho jaan kar
likhne vaale bāqiyoñ se Thiik haiñ
kāTte haiñ peḌ ko pahchān kar
abr to mere liye bhagvān hai
de rahā hai mujh ko paanī chhān kar
ḳhaak meñ mil jā.eñge motī tire
jiite jī in motiyoñ kā daan kar
ji rahe ho apni gardan tan kar
kya mila aadhe KHuda ko man kar
ye jahan shayad kisi ka KHwab hai
KHwab jo dekha gaya ho jaan kar
likhne wale baqiyon se Thik hain
kaTte hain peD ko pahchan kar
abr to mere liye bhagwan hai
de raha hai mujh ko pani chhan kar
KHak mein mil jaenge moti tere
jite ji in motiyon ka dan kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.