ji tarasta hai muskurane ko
jī tarastā hai muskurāne ko
aag lag jaa.e is zamāne ko
ahl-e-duniyā ne khel samjhā hai
is zamāne meñ dil lagāne ko
kaash aisā bhī ek din hotā
aap sunte mire fasāne ko
ye ravish hai to ḳhud chaman vaale
ḳhaak kar deñge āshiyāne ko
jā-e-hairat hai kyoñ jahāñ vaale
tuul dete haiñ har fasāne ko
har qadam par haiñ tāna-o-dushnām
yaad rakkheñge ham zamāne ko
jī rahe haiñ bas ab to ai 'rahbar'
dostoñ ke fareb khāne ko
ji tarasta hai muskurane ko
aag lag jae is zamane ko
ahl-e-duniya ne khel samjha hai
is zamane mein dil lagane ko
kash aisa bhi ek din hota
aap sunte mere fasane ko
ye rawish hai to KHud chaman wale
KHak kar denge aashiyane ko
ja-e-hairat hai kyon jahan wale
tul dete hain har fasane ko
har qadam par hain tana-o-dushnam
yaad rakkhenge hum zamane ko
ji rahe hain bas ab to ai 'rahbar'
doston ke fareb khane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.