jina ab dushwar hai baba
jiinā ab dushvār hai baabā
fikroñ kī bhar-mār hai baabā
khoTe sikke ḳhuub chaleñge
ab apnī sarkār hai baabā
diin ko becho duniyā becho
ab ye kārobār hai baabā
aaj kī ye tahzīb to jaise
girtī huī dīvār hai baabā
muflis kī āvāz dabī hai
paisoñ kī jhankār hai baabā
kis ko salīqa hai piine kā
kaun yahāñ mai-ḳhvār hai baabā
apnā hī 'darvesh' to shāyad
dekho sū-e-dār hai baabā
jina ab dushwar hai baba
fikron ki bhar-mar hai baba
khoTe sikke KHub chalenge
ab apni sarkar hai baba
din ko becho duniya becho
ab ye karobar hai baba
aaj ki ye tahzib to jaise
girti hui diwar hai baba
muflis ki aawaz dabi hai
paison ki jhankar hai baba
kis ko saliqa hai pine ka
kaun yahan mai-KHwar hai baba
apna hi 'darwesh' to shayad
dekho su-e-dar hai baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.