jina muhaal ho gaya danaiyon ke sath
jiinā muhāl ho gayā dānā.iyoñ ke saath
aayā ḳhayāl-e-yār bhī rusvā.iyoñ ke saath
āñkhoñ se ashk phisle to dāman bhigo ga.e
yādoñ kā qāfila bhī thā shahnā.iyoñ ke saath
rahte haiñ ham kahāñ ye pata ham se pūchhiye
yādoñ kī us havelī meñ parchhā.iyoñ ke saath
ik dāstāñ raqam hai in āñkhoñ meñ zabt kī
utre to koī fikr kī gahrā.iyoñ ke saath
ūñchī imāratoñ ne falak chhū liyā magar
rishte zamīñ pe rah ga.e añgnā.iyoñ ke saath
jina muhaal ho gaya danaiyon ke sath
aaya KHayal-e-yar bhi ruswaiyon ke sath
aankhon se ashk phisle to daman bhigo gae
yaadon ka qafila bhi tha shahnaiyon ke sath
rahte hain hum kahan ye pata hum se puchhiye
yaadon ki us haweli mein parchhaiyon ke sath
ek dastan raqam hai in aankhon mein zabt ki
utre to koi fikr ki gahraiyon ke sath
unchi imaraton ne falak chhu liya magar
rishte zamin pe rah gae angnaiyon ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.