jina muhaal marna bhi dushwar ho gaya
jiinā muhāl marnā bhī dushvār ho gayā
jab se ye jaanā maiñ ne mujhe pyaar ho gayā
kuchh tū ne apnā vāsta de kar manā liyā
kuchh apne dil se maiñ bhī to lāchār ho gayā
tere ḳhayāloñ meñ liye baiThā thā maiñ qalam
ġhazloñ kā ek zehn meñ gulzār ho gayā
jab tak rahā vo dil meñ to iqrār thā bahut
kaise vo lab pe aate hī inkār ho gayā
jaanā paḌā thā kal mujhe dushman ke kūche meñ
kuchh dostoñ se bhī vahāñ do-chār ho gayā
jab bhī liyā hai dil se maiñ mushkil-kushā kā naam
dushvār rāsta bhī to hamvār ho gayā
jina muhaal marna bhi dushwar ho gaya
jab se ye jaana main ne mujhe pyar ho gaya
kuchh tu ne apna wasta de kar mana liya
kuchh apne dil se main bhi to lachaar ho gaya
tere KHayalon mein liye baiTha tha main qalam
ghazlon ka ek zehn mein gulzar ho gaya
jab tak raha wo dil mein to iqrar tha bahut
kaise wo lab pe aate hi inkar ho gaya
jaana paDa tha kal mujhe dushman ke kuche mein
kuchh doston se bhi wahan do-chaar ho gaya
jab bhi liya hai dil se main mushkil-kusha ka nam
dushwar rasta bhi to hamwar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.