jina mujhe kaThin ho ki marna muhaal ho
jiinā mujhe kaThin ho ki marnā muhāl ho
ehsās-o-āgahī kā magar kyuuñ malāl ho
har roz sochtā huuñ na.e taur se tumheñ
mere liye tum ek anokhā savāl ho
thā dard to diloñ meñ samāyā huā thā maiñ
huuñ paas hī to ab kise merā ḳhayāl ho
rāhat ġhamoñ kī aañch ho ġham rāhatoñ kī ruuh
ye ziist ho to mere liye kyuuñ vabāl ho
vo kahkashāñ kī samt na dekhe to kyā kare
jis ko tirī galī se guzarnā muhāl ho
girte hue daraḳht kī bāñhoñ se duur bhaag
āġhosh-e-āftāb meñ jo kuchh bhī haal ho
sadiyoñ se kuchh vazāhateñ yuuñ kar rahā hai zehn
jaise ki ās-pās kī har shai savāl ho
is ghar kī chhat kā koī bharosa nahīñ hai 'soz'
in bārishoñ meñ dekhiye kyā apnā haal ho
jina mujhe kaThin ho ki marna muhaal ho
ehsas-o-agahi ka magar kyun malal ho
har roz sochta hun nae taur se tumhein
mere liye tum ek anokha sawal ho
tha dard to dilon mein samaya hua tha main
hun pas hi to ab kise mera KHayal ho
rahat ghamon ki aanch ho gham rahaton ki ruh
ye zist ho to mere liye kyun wabaal ho
wo kahkashan ki samt na dekhe to kya kare
jis ko teri gali se guzarna muhaal ho
girte hue daraKHt ki banhon se dur bhag
aaghosh-e-aftab mein jo kuchh bhi haal ho
sadiyon se kuchh wazahaten yun kar raha hai zehn
jaise ki aas-pas ki har shai sawal ho
is ghar ki chhat ka koi bharosa nahin hai 'soz'
in barishon mein dekhiye kya apna haal ho
- Book : siip (Magzin) (Pg. 245)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.