jine ka arman nahin hai
jiine kā armān nahīñ hai
marnā bhī āsān nahīñ hai
yaad tumhārī mere dil kī
mālik hai mehmān nahīñ hai
kaun hai apnā kaun parāyā
dil ko abhī pahchān nahīñ hai
ulfat karnā sahl hai lekin
ġham khānā āsān nahīñ hai
vo rūdād nahīñ hai merī
ġham jis kā unvān nahīñ hai
sūrat se tum haal na samjhe
kahne kā ausān nahīñ hai
tere ġham kī daulat pā kar
aur koī armān nahīñ hai
jān-o-dil yā dīn-o-īmāñ
kyā tum par qurbān nahīñ hai
duur rakhā qadmoñ se 'shifā' ko
ye to karam kī shaan nahīñ hai
jine ka arman nahin hai
marna bhi aasan nahin hai
yaad tumhaari mere dil ki
malik hai mehman nahin hai
kaun hai apna kaun paraya
dil ko abhi pahchan nahin hai
ulfat karna sahl hai lekin
gham khana aasan nahin hai
wo rudad nahin hai meri
gham jis ka unwan nahin hai
surat se tum haal na samjhe
kahne ka ausan nahin hai
tere gham ki daulat pa kar
aur koi arman nahin hai
jaan-o-dil ya din-o-iman
kya tum par qurban nahin hai
dur rakha qadmon se 'shifa' ko
ye to karam ki shan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.