jine ka bas ek sahaara wo laDki
jiine kā bas ek sahārā vo laḌkī
maiñ huuñ TuuTī naav kinārā vo laḌkī
jaan hathelī par rakh kar maiñ jaatā thā
jab kartī thī ek ishāra vo laḌkī
aur kisī se milne hī kab detī thī
yuuñ rakhtī thī dhyān hamārā vo laḌkī
chhoḌ ga.ī sāhil ke havāle tanhā hī
ret pe likh kar naam hamārā vo laḌkī
vo aa.e to kal jag raushan ho jaa.e
sūraj jugnū chāñd sitārā vo laḌkī
tāj-mahal kī zīnat bhī hai ḳhuub magar
taaj se pyārā ek nazāra vo laḌkī
kangan jhumke baalī paa.el bindiyā kyā
ghar bhī le ga.ī saath meñ saarā vo laḌkī
ḳhushiyoñ meñ in hoñToñ kī muskān thī vo
ġham meñ hai ashkoñ kī dhārā vo laḌkī
maiñ ne dil se pūchhā terī dhaḌkan kaun
dil kā har ik taar pukārā vo laḌkī
roz duāoñ meñ māñgā din-rāt yahī
phir mil jaa.e mujh ko ḳhudārā vo laḌkī
soch to le kyā kahnā hai kyā sunñā hai
'sant' agar mil jaa.e dobāra vo laḌkī
jine ka bas ek sahaara wo laDki
main hun TuTi naw kinara wo laDki
jaan hatheli par rakh kar main jata tha
jab karti thi ek ishaara wo laDki
aur kisi se milne hi kab deti thi
yun rakhti thi dhyan hamara wo laDki
chhoD gai sahil ke hawale tanha hi
ret pe likh kar nam hamara wo laDki
wo aae to kal jag raushan ho jae
suraj jugnu chand sitara wo laDki
taj-mahal ki zinat bhi hai KHub magar
taj se pyara ek nazara wo laDki
kangan jhumke baali pael bindiya kya
ghar bhi le gai sath mein sara wo laDki
KHushiyon mein in honTon ki muskan thi wo
gham mein hai ashkon ki dhaara wo laDki
main ne dil se puchha teri dhaDkan kaun
dil ka har ek tar pukara wo laDki
roz duaon mein manga din-raat yahi
phir mil jae mujh ko KHudara wo laDki
soch to le kya kahna hai kya sunna hai
'sant' agar mil jae dobara wo laDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.