jine ka wasila bhi asbab bhi badlenge
jiine kā vasīla bhī asbāb bhī badleñge
maujoñ ko to badleñge sailāb bhī badleñge
tahzīb-o-tamaddun hī virse meñ mile ham ko
ham tum ko to badleñge ādāb bhī badleñge
me.aar badal degā ḳhud apnī haqīqat yuuñ
hāsil jo kiye vo sab alqāb bhī badleñge
ehsās-e-mohabbat meñ ye soch bhī shāmil kī
tū jis meñ na ho shāmil vo ḳhvāb bhī badleñge
sho.aloñ kī numā.ish meñ da.avā bhī ye shāmil thā
jo un ko bujhā.egā vo aab bhī badleñge
māñgo na duā 'shāhid' gardish se nikalne kī
hālāt badalte haiñ ahbāb bhī badleñge
jine ka wasila bhi asbab bhi badlenge
maujon ko to badlenge sailab bhi badlenge
tahzib-o-tamaddun hi wirse mein mile hum ko
hum tum ko to badlenge aadab bhi badlenge
mear badal dega KHud apni haqiqat yun
hasil jo kiye wo sab alqab bhi badlenge
ehsas-e-mohabbat mein ye soch bhi shamil ki
tu jis mein na ho shamil wo KHwab bhi badlenge
shoalon ki numaish mein dawa bhi ye shamil tha
jo un ko bujhaega wo aab bhi badlenge
mango na dua 'shahid' gardish se nikalne ki
haalat badalte hain ahbab bhi badlenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.