jine ke agar chand sahaare bhi mile hain
jine ke agar chand sahaare bhi mile hain
Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi
MORE BYAkhgar Mushtaq Raheem Aabadi
jiine ke agar chand sahāre bhī mile haiñ
to jaan se jaane ke ishāre bhī mile haiñ
har chand rah-e-ishq ke ġham saḳht haiñ lekin
is raah ke kuchh ġham hameñ pyāre bhī mile haiñ
kuchh apnī vafāoñ se jo ummīd thī ham ko
kuchh un kī nigāhoñ ke sahāre bhī mile haiñ
ai rāh-rav-e-rāh-e-junūñ bhuul na jaanā
is raah meñ jī jaan se haare bhī mile haiñ
ilzām-e-taġhāful hameñ taslīm hai lekin
badle hue andāz tumhāre bhī mile haiñ
kyā kījiye tadbīr se haarā nahīñ jaatā
go raah meñ taqdīr ke maare bhī mile haiñ
tūfāñ meñ sabhī Duub to jaate nahīñ 'aḳhgar'
kuchh logoñ ko tūfāñ meñ kināre bhī mile haiñ
jine ke agar chand sahaare bhi mile hain
to jaan se jaane ke ishaare bhi mile hain
har chand rah-e-ishq ke gham saKHt hain lekin
is rah ke kuchh gham hamein pyare bhi mile hain
kuchh apni wafaon se jo ummid thi hum ko
kuchh un ki nigahon ke sahaare bhi mile hain
ai rah-raw-e-rah-e-junun bhul na jaana
is rah mein ji jaan se haare bhi mile hain
ilzam-e-taghaful hamein taslim hai lekin
badle hue andaz tumhaare bhi mile hain
kya kijiye tadbir se haara nahin jata
go rah mein taqdir ke mare bhi mile hain
tufan mein sabhi Dub to jate nahin 'aKHgar'
kuchh logon ko tufan mein kinare bhi mile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.