jine ke Dhab jab aae to marna paDa mujhe
jiine ke Dhab jab aa.e to marnā paḌā mujhe
kis ġham se ram kiyā ki Thaharnā paḌā mujhe
maiñ aur apnī jaan kā dushman nahīñ nahīñ
aisī hī vo adā thī jo marnā paḌā mujhe
kuchh ḳhud mujhe ubhār ga.ī rif.at-e-jamāl
kuchh aap pastiyoñ se ubharnā paḌā mujhe
hālāñki apne aap se maiñ duur bhī na thā
kitne hī rāstoñ se guzarnā paḌā mujhe
ġhunche kī tarah shab qafas-e-rang-o-bū rahā
mānind-e-gul sahar ko bikharnā paḌā mujhe
apne hī hāthoñ aap ko khīñchā salīb par
mātam bhī apnā aap hī karnā paḌā mujhe
phir kyā jo maiñ zamīñ se gayā tā-ba-āsmāñ
āḳhir isī zamīñ pe utarnā paḌā mujhe
kyā DhūñDte ho ab mire lab par shaguftagī
ik zaḳhm thā ki ḳhud jise bharnā paḌā mujhe
'urfī' sunāo muzhda mire ḳhair-ḳhvāh ko
bigḌā zamāna ye ki sudharnā paḌā mujhe
jine ke Dhab jab aae to marna paDa mujhe
kis gham se ram kiya ki Thaharna paDa mujhe
main aur apni jaan ka dushman nahin nahin
aisi hi wo ada thi jo marna paDa mujhe
kuchh KHud mujhe ubhaar gai rifat-e-jamal
kuchh aap pastiyon se ubharna paDa mujhe
haalanki apne aap se main dur bhi na tha
kitne hi raston se guzarna paDa mujhe
ghunche ki tarah shab qafas-e-rang-o-bu raha
manind-e-gul sahar ko bikharna paDa mujhe
apne hi hathon aap ko khincha salib par
matam bhi apna aap hi karna paDa mujhe
phir kya jo main zamin se gaya ta-ba-asman
aaKHir isi zamin pe utarna paDa mujhe
kya DhunDte ho ab mere lab par shaguftagi
ek zaKHm tha ki KHud jise bharna paDa mujhe
'urfi' sunao muzhda mere KHair-KHwah ko
bigDa zamana ye ki sudharna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.