jine ki aarzu mein wo shiddat nahin rahi
jiine kī aarzū meñ vo shiddat nahīñ rahī
kaise kahūñ ki ab vo mohabbat nahīñ rahī
maiñ bhī kisī kā ho chukā tū bhī kisī kā hai
ik dūsre kī ab hameñ hājat nahīñ rahī
haiñ apne hī jahān meñ kuchh is tarah se gum
kuchh sā'atoñ kī bhī hameñ fursat nahīñ rahī
tere hī dam se raunaq-e-bazm-e-hayāt thī
jo tū nahīñ rahā mirī jannat nahīñ rahī
vo bhī to din the aañkh se haTtā nahīñ thā vo
ab ye bhī din haiñ milne kī chāhat nahīñ rahī
apnī madad kā aap hī qaa.il huā huuñ maiñ
'bāsit' mujhe kisī kī zarūrat nahīñ rahī
jine ki aarzu mein wo shiddat nahin rahi
kaise kahun ki ab wo mohabbat nahin rahi
main bhi kisi ka ho chuka tu bhi kisi ka hai
ek dusre ki ab hamein hajat nahin rahi
hain apne hi jahan mein kuchh is tarah se gum
kuchh sa'aton ki bhi hamein fursat nahin rahi
tere hi dam se raunaq-e-bazm-e-hayat thi
jo tu nahin raha meri jannat nahin rahi
wo bhi to din the aankh se haTta nahin tha wo
ab ye bhi din hain milne ki chahat nahin rahi
apni madad ka aap hi qail hua hun main
'basit' mujhe kisi ki zarurat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.