jine ki har umang sulani paDi mujhe
jiine kī har umang sulānī paḌī mujhe
kāñdhe pe apnī laash uThānī paḌī mujhe
ġhaddār ham-safar the so kartā maiñ kyā bhalā
chaltī huī train jalānī paḌī mujhe
gahrā.ī uljhanoñ kī bulandī se jab dikhī
hāthoñ se apnī sīḌhī girānī paḌī mujhe
sūkhe gale kā soz fishār-e-lahū kā rog
kāñTe nigal ke pyaas bujhānī paḌī mujhe
jab vaqt kī davā se ifāqa na ho sakā
ashkoñ se terī yaad miTānī paḌī mujhe
'mansūr' jab bhī kaal paḌā kuchh ḳhayāl kā
misre meñ phir radīf nibhānī paḌī mujhe
jine ki har umang sulani paDi mujhe
kandhe pe apni lash uThani paDi mujhe
ghaddar ham-safar the so karta main kya bhala
chalti hui train jalani paDi mujhe
gahrai uljhanon ki bulandi se jab dikhi
hathon se apni siDhi girani paDi mujhe
sukhe gale ka soz fishaar-e-lahu ka rog
kanTe nigal ke pyas bujhani paDi mujhe
jab waqt ki dawa se ifaqa na ho saka
ashkon se teri yaad miTani paDi mujhe
'mansur' jab bhi kal paDa kuchh KHayal ka
misre mein phir radif nibhani paDi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.