jine ki tamanna bhi marne ki ada Thahri
jiine kī tamanna bhī marne kī adā Thahrī
ham ahl-e-mohabbat ko kyā shart-e-vafā Thahrī
lamhoñ ke ta.āqub meñ har dar se guzartī hai
ye gardish-e-daurāñ bhī kashkol-e-gadā Thahrī
shīshe ke makānoñ meñ patthar ke sanam dekhe
sho.aloñ kī jabīnoñ par shabnam kī adā Thahrī
sūraj kī tamāzat se pighle haiñ bharam kyā kyā
ik mom kī parchhā.īñ phūloñ kī qabā Thahrī
ma.anī ke samundar meñ alfāz barahna haiñ
sāhil se hayā haT kar Thahrī to bajā Thahrī
fariyād ho yā naġhma ab koī nahīñ suntā
shā.ir kī sadā 'farhat' sahrā kī sadā Thahrī
jine ki tamanna bhi marne ki ada Thahri
hum ahl-e-mohabbat ko kya shart-e-wafa Thahri
lamhon ke taaqub mein har dar se guzarti hai
ye gardish-e-dauran bhi kashkol-e-gada Thahri
shishe ke makanon mein patthar ke sanam dekhe
shoalon ki jabinon par shabnam ki ada Thahri
suraj ki tamazat se pighle hain bharam kya kya
ek mom ki parchhain phulon ki qaba Thahri
mani ke samundar mein alfaz barahna hain
sahil se haya haT kar Thahri to baja Thahri
fariyaad ho ya naghma ab koi nahin sunta
shair ki sada 'farhat' sahra ki sada Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.