jine ko ek-adh bahana kafi hota hai
jiine ko ek-ādh bahāna kaafī hotā hai
sachchā ho to ek fasāna kaafī hotā hai
chāñd ko maiñ ne jab bhī dekhā ye ehsās huā
ik sahrā meñ ik dīvāna kaafī hotā hai
ham rūTheñ to ghar ke kamre kam paḌ jaate haiñ
ham chāheñ to ek sirhānā kaafī hotā hai
jīte-jī ye baat na maanī mar ke maan ga.e
sab kahte the ek Thikāna kaafī hotā hai
jine ko ek-adh bahana kafi hota hai
sachcha ho to ek fasana kafi hota hai
chand ko main ne jab bhi dekha ye ehsas hua
ek sahra mein ek diwana kafi hota hai
hum ruThen to ghar ke kamre kam paD jate hain
hum chahen to ek sirhana kafi hota hai
jite-ji ye baat na mani mar ke man gae
sab kahte the ek Thikana kafi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.