jine lagta hai zindagi ke baghair
jiine lagtā hai zindagī ke baġhair
koī martā nahīñ kisī ke baġhair
shā'irī dard-e-zindagī ke baġhair
jaise ummat koī nabī ke baġhair
vo diye bhī havā ne dekh liye
jal rahe the jo raushnī ke baġhair
ham tirī aarzū ke daftar meñ
kaam karte haiñ salary ke baġhair
kitnī bāteñ haiñ jin ko dīvāne
kah nahīñ sakte ḳhāmushī ke baġhair
jī rahā huuñ maiñ hijr meñ aise
jaise changez ḳhaañ ḳhudī ke baġhair
ham se sīkho ki apnī marzī se
kaise marte haiñ ḳhud-kushī ke baġhair
phir mire zehn meñ ka.ī jinnāt
raqs karne lage parī ke baġhair
jine lagta hai zindagi ke baghair
koi marta nahin kisi ke baghair
sha'iri dard-e-zindagi ke baghair
jaise ummat koi nabi ke baghair
wo diye bhi hawa ne dekh liye
jal rahe the jo raushni ke baghair
hum teri aarzu ke daftar mein
kaam karte hain salary ke baghair
kitni baaten hain jin ko diwane
kah nahin sakte KHamushi ke baghair
ji raha hun main hijr mein aise
jaise changez KHan KHudi ke baghair
hum se sikho ki apni marzi se
kaise marte hain KHud-kushi ke baghair
phir mere zehn mein kai jinnat
raqs karne lage pari ke baghair
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 24)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.