jine mein ye ghaflat fitrat ne kyon tab-e-bashar mein daKHil ki
jine mein ye ghaflat fitrat ne kyon tab-e-bashar mein daKHil ki
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
jiine meñ ye ġhaflat fitrat ne kyoñ tab'-e-bashar meñ dāḳhil kī
marne kī musībat jānoñ par kyoñ qudrat-e-haq ne nāzil kī
kyoñ tūl-e-amal meñ uljhāyā insān ne apne dāman ko
kyoñ zulf-e-havas ke phande meñ phañstī hai tabī'at ġhāfil kī
kyoñ hijr ke sadme hote haiñ kyoñ murdoñ pe zinde rote haiñ
kyoñ jang meñ jāneñ jaatī haiñ kyoñ baḌhtī hai himmat qātil kī
mantiq kā to dā'vā ek taraf tāqat kī ye shoḳhī ek taraf
kyā farq hai ḳhair-o-shar meñ yahāñ kyā jāñch hai haqq-o-bātil kī
jine mein ye ghaflat fitrat ne kyon tab'-e-bashar mein daKHil ki
marne ki musibat jaanon par kyon qudrat-e-haq ne nazil ki
kyon tul-e-amal mein uljhaya insan ne apne daman ko
kyon zulf-e-hawas ke phande mein phansti hai tabi'at ghafil ki
kyon hijr ke sadme hote hain kyon murdon pe zinde rote hain
kyon jang mein jaanen jati hain kyon baDhti hai himmat qatil ki
mantiq ka to da'wa ek taraf taqat ki ye shoKHi ek taraf
kya farq hai KHair-o-shar mein yahan kya jaanch hai haqq-o-baatil ki
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 106)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.