jit bhi jaenge aamada-e-paikar to hon
jiit bhī jā.eñge āmāda-e-paikār to hoñ
ham ulajhne ke liye vaqt se tayyār to hoñ
ḳhud-shanāsī to chalo Thahrī bahut duur kī baat
apne kirdār se ham log ḳhabar-dār to hoñ
maqsad-e-zīst zarā tū hī sadā de un ko
tujh se ho ke jo alag hote haiñ bedār to hoñ
dhuup ab tak to muñDeroñ pe chaḌhī baiThī hai
us ke āñgan meñ utar aane ke āsār to hoñ
aisā mushkil to nahīñ toḌ ke taare laanā
āsmāñ par shab-e-furqat meñ numūdār to hoñ
pas-e-manzar bhī bahut kuchh hai magar ham nazreñ
in nazāroñ se haTā lene ko tayyār to hoñ
maut kahte haiñ har ik dukh kī davā hai 'rāhat'
mar ke bhī dekheñge ham jiine se bezār to hoñ
jit bhi jaenge aamada-e-paikar to hon
hum ulajhne ke liye waqt se tayyar to hon
KHud-shanasi to chalo Thahri bahut dur ki baat
apne kirdar se hum log KHabar-dar to hon
maqsad-e-zist zara tu hi sada de un ko
tujh se ho ke jo alag hote hain bedar to hon
dhup ab tak to munDeron pe chaDhi baiThi hai
us ke aangan mein utar aane ke aasar to hon
aisa mushkil to nahin toD ke tare lana
aasman par shab-e-furqat mein numudar to hon
pas-e-manzar bhi bahut kuchh hai magar hum nazren
in nazaron se haTa lene ko tayyar to hon
maut kahte hain har ek dukh ki dawa hai 'rahat'
mar ke bhi dekhenge hum jine se bezar to hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.