jit ki aur na haar ki zid hai
jiit kī aur na haar kī zid hai
dil ko shāyad qarār kī zid hai
koī bhī to nahīñ ta.āqub meñ
jaane kis se farār kī zid hai
ham se kuchh kah rahe haiñ sannāTe
par hameñ intizār kī zid hai
ishq chāhe ki lab ko jaam likhe
husn ko inkisār kī zid hai
bārhā ham ne sañgsār kiyā
par use e'tibār kī zid hai
ek anjām-e-tai-shuda ke liye
phir ḳhizāñ ko bahār kī zid hai
ik baar us se kyā milīñ nazreñ
dil ko ab baar baar kī zid hai
jit ki aur na haar ki zid hai
dil ko shayad qarar ki zid hai
koi bhi to nahin taaqub mein
jaane kis se farar ki zid hai
hum se kuchh kah rahe hain sannaTe
par hamein intizar ki zid hai
ishq chahe ki lab ko jam likhe
husn ko inkisar ki zid hai
barha hum ne sangsar kiya
par use e'tibar ki zid hai
ek anjam-e-tai-shuda ke liye
phir KHizan ko bahaar ki zid hai
ek bar us se kya milin nazren
dil ko ab bar bar ki zid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.