jit ko mat de ke aa gaya main
jiit ko maat de ke aa gayā maiñ
phuul ḳhairāt de ke aa gayā maiñ
jo zabāñ halq tak na aatī thī
us ko ik baat de ke aa gayā maiñ
vo jo patthar kā but banā huā thā
us ko jazbāt de ke aa gayā maiñ
jin kī ḳhushiyāñ kamāne niklā thā
un ko sadmāt de ke aa gayā maiñ
hijr kaaTā nahīñ gayā mujh se
haat ke haat de ke aa gayā maiñ
zindagī mere bas kī baat na thī
chaar din saath de ke aa gayā maiñ
vasl kā jitnā qarz thā mujh par
hijr kī raat de ke aa gayā maiñ
jit ko mat de ke aa gaya main
phul KHairaat de ke aa gaya main
jo zaban halq tak na aati thi
us ko ek baat de ke aa gaya main
wo jo patthar ka but bana hua tha
us ko jazbaat de ke aa gaya main
jin ki KHushiyan kamane nikla tha
un ko sadmat de ke aa gaya main
hijr kaTa nahin gaya mujh se
hat ke hat de ke aa gaya main
zindagi mere bas ki baat na thi
chaar din sath de ke aa gaya main
wasl ka jitna qarz tha mujh par
hijr ki raat de ke aa gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.