jite hue ghabraate hain ye log ajab hain
jiite hue ghabrāte haiñ ye log 'ajab haiñ
be-maut hī mar jaate haiñ ye log 'ajab haiñ
gardan pe chale teġh ki siine pe chale tiir
rote haiñ na chillāte haiñ ye log 'ajab haiñ
hañs hañs ke koī de to bilā-ḳhauf-o-taraddud
zahrāb bhī pī jaate haiñ ye log 'ajab haiñ
ḳhud masḳh-shuda chehre liye phirte haiñ lekin
ā.īna bhī dikhlāte haiñ ye log 'ajab haiñ
maġhmūm bhī hote haiñ to aate haiñ nazar shaad
'ġhālib' kī ġhazal gaate haiñ ye log 'ajab haiñ
sunte haiñ ki daanā haiñ magar aisī himāqat
dīvāne ko samjhāte haiñ ye log 'ajab haiñ
vahshat ke binā jaate haiñ sahrā kī taraf kyoñ
jaate haiñ to lauT aate haiñ ye log 'ajab haiñ
jite hue ghabraate hain ye log 'ajab hain
be-maut hi mar jate hain ye log 'ajab hain
gardan pe chale tegh ki sine pe chale tir
rote hain na chillate hain ye log 'ajab hain
hans hans ke koi de to bila-KHauf-o-taraddud
zahrab bhi pi jate hain ye log 'ajab hain
KHud masKH-shuda chehre liye phirte hain lekin
aaina bhi dikhlate hain ye log 'ajab hain
maghmum bhi hote hain to aate hain nazar shad
'ghaalib' ki ghazal gate hain ye log 'ajab hain
sunte hain ki dana hain magar aisi himaqat
diwane ko samjhate hain ye log 'ajab hain
wahshat ke bina jate hain sahra ki taraf kyon
jate hain to lauT aate hain ye log 'ajab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.