jite ji aaram na aaya
jiite jī ārām na aayā
marnā bhī kuchh kaam na aayā
mai apnī mai-ḳhāna apnā
ham tak daur-e-jām na aayā
dard ne kyā kyā pahlū badle
lab pe kisī kā naam na aayā
barq se thā kyā duur nasheman
us kā taḌapnā kaam na aayā
kah ga.ī nazreñ ġham kā fasāna
zabt pe kuchh ilzām na aayā
mai na milī gar pī liye aañsū
maiñ kabhī tishna-kām na aayā
pursish-e-ġham ko vo ḳhud aa.e
phir bhī mujhe ārām na aayā
kis se 'sa.īd' ab shikva kiije
koī bhī vaqt-e-shām na aayā
jite ji aaram na aaya
marna bhi kuchh kaam na aaya
mai apni mai-KHana apna
hum tak daur-e-jam na aaya
dard ne kya kya pahlu badle
lab pe kisi ka nam na aaya
barq se tha kya dur nasheman
us ka taDapna kaam na aaya
kah gai nazren gham ka fasana
zabt pe kuchh ilzam na aaya
mai na mili gar pi liye aansu
main kabhi tishna-kaam na aaya
pursish-e-gham ko wo KHud aae
phir bhi mujhe aaram na aaya
kis se 'said' ab shikwa kije
koi bhi waqt-e-sham na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.