jite rahna bhi saza ho jaise
jiite rahnā bhī sazā ho jaise
jism suulī pe Tañgā ho jaise
sang itnā ye mo'attar kyoñ hai
tere hāthoñ ne chhuā ho jaise
āshiyāne meñ darāreñ itnī
ye bhī muflis kī qabā ho jaise
aisā lagtā hai dalīleñ sun kar
us kī pahlī hī ḳhatā ho jaise
qatl kartīñ ye nigāheñ terī
zahr in meñ bhī milā ho jaise
Duub jaatā maiñ yaqīnan lekin
paar us ne hī kiyā ho jaise
mere qātil kī 'ajab hālat thī
mujh se pahle vo marā ho jaise
jite rahna bhi saza ho jaise
jism suli pe Tanga ho jaise
sang itna ye mo'attar kyon hai
tere hathon ne chhua ho jaise
aashiyane mein dararen itni
ye bhi muflis ki qaba ho jaise
aisa lagta hai dalilen sun kar
us ki pahli hi KHata ho jaise
qatl kartin ye nigahen teri
zahr in mein bhi mila ho jaise
Dub jata main yaqinan lekin
par us ne hi kiya ho jaise
mere qatil ki 'ajab haalat thi
mujh se pahle wo mara ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.