jiti raho kahaniyo milte hain yar ek din
jiitī raho kahāniyo milte haiñ yaar ek din
ek hazār ek raat ek hazār ek din
vāqa'ī jaise gum-shuda shaḳhs palaT ke aa gayā
mujh se basar nahīñ huā ek hī baar ek din
ḳhaak meñ kam numūd kī aag 'adam vajūd kī
umr-e-ḳhayām ek shab umr-e-ḳhumār ek din
manzil-e-jāñ tak ek din pahuñchegā jo dar asl hai
raah meñ baiTh jā.egā gard-o-ġhubār ek din
vo jise DhūñDtī phirī tum ne chhapā.ī Diary
yaad hai yaar ek baar yaad hai yaar ek din
aañkh bachā ke le gayā haath baḌhā ke le gayā
raat ke paar ek ḳhvāb ḳhvāb ke paar ek din
jhūTī haqīqatoñ se duur sachchī kahāniyāñ zarūr
jīteñ to vāpas aa sakeñ shāhsavār ek din
gaañv se gaañv Dākiye logoñ ke ḳhat paḌhā kiye
miir aman huā kiye bāġh-o-bahār ek din
ban ke bikhar to jā.uñgā rau ke sañvar to jā.uñgā
ḳhvāb-nagar to jā.uñgā āḳhirī baar ek din
baaqī zamāne chhoḌ de faanī fasāne chhoḌ de
merī tarah se merī jaan ḳhud pe guzār ek din
yaar ko gaaḌ kar sabhī gāḌiyoñ kī taraf baḌhe
kaTtā na thā tire baġhair yāroñ ke yaar ek din
duniyā se ek din vo shaḳhs dil kī taraf phir aa.egā
shahr meñ lauT aa.egī phir se bahār ek din
qasbe kī aurteñ jane bachchoñ sane bane Thane
rail jahāñ nahīñ rukī khokhrāpār ek din
jiti raho kahaniyo milte hain yar ek din
ek hazar ek raat ek hazar ek din
waqa'i jaise gum-shuda shaKHs palaT ke aa gaya
mujh se basar nahin hua ek hi bar ek din
KHak mein kam numud ki aag 'adam wajud ki
umr-e-KHayam ek shab umr-e-KHumar ek din
manzil-e-jaan tak ek din pahunchega jo dar asl hai
rah mein baiTh jaega gard-o-ghubar ek din
wo jise DhunDti phiri tum ne chhapai Diary
yaad hai yar ek bar yaad hai yar ek din
aankh bacha ke le gaya hath baDha ke le gaya
raat ke par ek KHwab KHwab ke par ek din
jhuTi haqiqaton se dur sachchi kahaniyan zarur
jiten to wapas aa saken shahsawar ek din
ganw se ganw Dakiye logon ke KHat paDha kiye
mir aman hua kiye bagh-o-bahaar ek din
ban ke bikhar to jaunga rau ke sanwar to jaunga
KHwab-nagar to jaunga aaKHiri bar ek din
baqi zamane chhoD de fani fasane chhoD de
meri tarah se meri jaan KHud pe guzar ek din
yar ko gaD kar sabhi gaDiyon ki taraf baDhe
kaTta na tha tere baghair yaron ke yar ek din
duniya se ek din wo shaKHs dil ki taraf phir aaega
shahr mein lauT aaegi phir se bahaar ek din
qasbe ki aurten jane bachchon sane bane Thane
rail jahan nahin ruki khokhrapar ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.