jiwan mein dhundalka hi agar aae to achchha
jīvan meñ dhuñdalkā hī agar aa.e to achchhā
us ko to na aanā thā magar aa.e to achchhā
vaise to nazar aatī hai har aañkh meñ nafrat
vo pyaar ke darpan meñ nazar aa.e to achchhā
ik dard jo shiddat kī bulandī pe khaḌā hai
ehsās kī sīḌhī se utar aa.e to achchhā
mahloñ kā nazārā to ḳhayāloñ meñ basā hai
ik baar tasavvur meñ khañDar aa.e to achchhā
barsoñ se to vīrān mire dil kā nagar hai
bhūlī sī koī yaad idhar aa.e to achchhā
tum us ko ḳhatāvār samajhnā nahīñ 'nāzim'
gumrāh koī lauT ke ghar aa.e to achchhā
jiwan mein dhundalka hi agar aae to achchha
us ko to na aana tha magar aae to achchha
waise to nazar aati hai har aankh mein nafrat
wo pyar ke darpan mein nazar aae to achchha
ek dard jo shiddat ki bulandi pe khaDa hai
ehsas ki siDhi se utar aae to achchha
mahlon ka nazara to KHayalon mein basa hai
ek bar tasawwur mein khanDar aae to achchha
barson se to viran mere dil ka nagar hai
bhuli si koi yaad idhar aae to achchha
tum us ko KHatawar samajhna nahin 'nazim'
gumrah koi lauT ke ghar aae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.