jiwan pustak phaT jati hai kaghaz pila ho jata hai
jīvan pustak phaT jaatī hai kāġhaz piilā ho jaatā hai
aañsū koī laakh chhupā.e dāman giilā ho jaatā hai
bachchoñ ke sachche zehnoñ meñ jhūTī bāteñ mat Daalo
kāñToñ kī sohbat meñ rah kar phuul nukīlā ho jaatā hai
din-bhar to ham donoñ mil kar paanī shakar milāte haiñ
raat aate hī saarā sharbat kyoñ zahrīlā ho jaatā hai
insāno tum patthar-dil ho mol namak kā kyā jānoge
ye vo ġham hai jis ko khā kar bartan siilā ho jaatā hai
ā.īne ko ghar meñ rakh de saath meñ le ke mat ghūmā kar
sach kī dhuup meñ rahte rahte chehra niilā ho jaatā hai
chāhe aadam kī duniyā ho yā chhoTā sā ghar ho merā
dhīre-dhīre ek aadmī ek qabīla ho jaatā hai
giyān diye duniyā ko kyā-kyā lekin ḳhud anjān rahe
apne tan par apnā kurtā aksar Dhīlā ho jaatā hai
jiwan pustak phaT jati hai kaghaz pila ho jata hai
aansu koi lakh chhupae daman gila ho jata hai
bachchon ke sachche zehnon mein jhuTi baaten mat Dalo
kanTon ki sohbat mein rah kar phul nukila ho jata hai
din-bhar to hum donon mil kar pani shakar milate hain
raat aate hi sara sharbat kyon zahrila ho jata hai
insano tum patthar-dil ho mol namak ka kya jaanoge
ye wo gham hai jis ko kha kar bartan sila ho jata hai
aaine ko ghar mein rakh de sath mein le ke mat ghuma kar
sach ki dhup mein rahte rahte chehra nila ho jata hai
chahe aadam ki duniya ho ya chhoTa sa ghar ho mera
dhire-dhire ek aadmi ek qabila ho jata hai
giyan diye duniya ko kya-kya lekin KHud anjaan rahe
apne tan par apna kurta aksar Dhila ho jata hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 107)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.