jin dinon kuchh aur irada tha bahana aur tha
jin dinon kuchh aur irada tha bahana aur tha
Meer Ali Ausat Rashk
MORE BYMeer Ali Ausat Rashk
jin dinoñ kuchh aur irāda thā bahānā aur thā
vo zamānā aur thā vo kār-ḳhāna aur thā
sājidān-e-kū-e-jānāñ kā zamāna aur thā
juñbisheñ vo aur thiiñ vo āstānā aur thā
dāġh-e-dil kyūñkar luTā detā maiñ hātim kī tarah
vo ḳhazāna aur thā merā ḳhazānā aur thā
kyoñ na kartā vo shikār-afgan dil-e-ushshāq said
har nishāna aur thā dil kā nishāna aur thā
mere arz-e-hāl meñ paḌhne lage tum nal-daman
vo fasāna aur thā merā fasāna aur thā
zaḳhmī-e-tīr-e-nigah teġh-e-zabāñ se mar ga.e
tiir khānā aur thā talvār khānā aur thā
shāh-e-ḳhaibar-gīr se marhab ko nisbat kaun thī
dar hilānā aur thā mugdar hilānā aur thā
āshiq-e-sādiq ko ma.ashūq-e-haqīqī chāhiye
qais-e-abla aur thā bahlol-e-dānā aur thā
dīn-e-ahmad se na the ai 'rashk' adyān-e-salaf
vo zamāna aur thā aglā zamāna aur thā
jin dinon kuchh aur irada tha bahana aur tha
wo zamana aur tha wo kar-KHana aur tha
sajidan-e-ku-e-jaanan ka zamana aur tha
junbishen wo aur thin wo aastana aur tha
dagh-e-dil kyunkar luTa deta main hatim ki tarah
wo KHazana aur tha mera KHazana aur tha
kyon na karta wo shikar-afgan dil-e-ushshaq said
har nishana aur tha dil ka nishana aur tha
mere arz-e-haal mein paDhne lage tum nal-daman
wo fasana aur tha mera fasana aur tha
zaKHmi-e-tir-e-nigah tegh-e-zaban se mar gae
tir khana aur tha talwar khana aur tha
shah-e-KHaibar-gir se marhab ko nisbat kaun thi
dar hilana aur tha mugdar hilana aur tha
aashiq-e-sadiq ko mashuq-e-haqiqi chahiye
qais-e-abla aur tha bahlol-e-dana aur tha
din-e-ahmad se na the ai 'rashk' adyan-e-salaf
wo zamana aur tha agla zamana aur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.