jin ke charche shahr bhar mein pak-damani mein hain
jin ke charche shahr bhar meñ pāk-dāmānī meñ haiñ
mai-kade meñ dekh un ko ham to hairānī meñ haiñ
is taraf hai mai-kada aur us taraf hai ghar tirā
kis taraf jaa.eñ abhī tak is pareshānī meñ haiñ
ek lamha vasl kā ham ko milā jaane diyā
ḳhvāhisheñ ab tak hamārī is pashemānī meñ haiñ
muttahid honā paḌegā paar utarne ke liye
kab samajh meñ aa.egā ham log tuġhyānī meñ haiñ
ye merā hujra sukūn-e-qalb ye sajde miyāñ
rāhateñ kab ye mayassar qasr-e-sultānī meñ haiñ
jin ke charche shahr bhar mein pak-damani mein hain
mai-kade mein dekh un ko hum to hairani mein hain
is taraf hai mai-kada aur us taraf hai ghar tera
kis taraf jaen abhi tak is pareshani mein hain
ek lamha wasl ka hum ko mila jaane diya
KHwahishen ab tak hamari is pashemani mein hain
muttahid hona paDega par utarne ke liye
kab samajh mein aaega hum log tughyani mein hain
ye mera hujra sukun-e-qalb ye sajde miyan
rahaten kab ye mayassar qasr-e-sultani mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.