jin ke footpath pe ghar panw mein chhaale honge
jin ke fōtpath pe ghar paañv meñ chhāle hoñge
un ke zehnoñ meñ na masjid na shivāle hoñge
bhūke bachchoñ kī umīdeñ na shikasta ho jaa.eñ
maañ ne kuchh ashk bhī paanī meñ ubāle hoñge
tere lashkar meñ koī ho to bulā le us ko
merā da.avā hai ki is samt jiyāle hoñge
jang par jaate hue beTe kī maañ se pūchho
kaise jazbāt ke tūfān sañbhāle hoñge
sajda-e-haq ke liye sīna-sipar the ġhāzī
aise duniyā meñ kahāñ chāhne vaale hoñge
kuchh na sāhil pe milegā ki 'shifā' us ne to
durr-e-yaktā ke liye bahr khañgāle hoñge
jin ke footpath pe ghar panw mein chhaale honge
un ke zehnon mein na masjid na shiwale honge
bhuke bachchon ki umiden na shikasta ho jaen
man ne kuchh ashk bhi pani mein ubaale honge
tere lashkar mein koi ho to bula le us ko
mera dawa hai ki is samt jiyale honge
jang par jate hue beTe ki man se puchho
kaise jazbaat ke tufan sanbhaale honge
sajda-e-haq ke liye sina-sipar the ghazi
aise duniya mein kahan chahne wale honge
kuchh na sahil pe milega ki 'shifa' us ne to
durr-e-yakta ke liye bahr khangale honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.