jin ke hathon mein sar hamare hain
jin ke hāthoñ meñ sar hamāre haiñ
vo hameñ jaan se bhī pyāre haiñ
mat falak par hameñ talāsh karo
ham to TuuTe hue sitāre haiñ
'qais'-o-'farhād'-o-hīr kī sūrat
'ishq ne kitne ruup dhāre haiñ
ġhaur kiije zarā to ham aur aap
ek dariyā ke do kināre haiñ
laakh kuchh bhī kahe hameñ duniyā
ham haiñ un ke to vo hamāre haiñ
bhuuk iflās ranj māyūsī
zindagī tere isti'āre haiñ
terī chāhat meñ 'ishq kī baazī
jiit jaane ke baa'd haare haiñ
tujh ko khonā tujhe ḳhafā karnā
ye ḳhasāre baḌe ḳhasāre haiñ
kaash koī kabhī kahe ham se
jaan ham aaj bhī tumhāre haiñ
jin meñ ḳhushiyāñ nasīb hotī haiñ
ham ne vo din kahāñ guzāre haiñ
ham ne duniyā meñ aa ke dekh liyā
aap duniyā meñ sab se pyāre haiñ
vo mirī jaan ke hue dushman
jin ke sadqe kabhī utāre haiñ
maiñ ne kāġhaz pe jo likhe the 'sabīn'
kuchh mazāmīn in meñ nyāre haiñ
jin ke hathon mein sar hamare hain
wo hamein jaan se bhi pyare hain
mat falak par hamein talash karo
hum to TuTe hue sitare hain
'qais'-o-'farhad'-o-hir ki surat
'ishq ne kitne rup dhaare hain
ghaur kije zara to hum aur aap
ek dariya ke do kinare hain
lakh kuchh bhi kahe hamein duniya
hum hain un ke to wo hamare hain
bhuk iflas ranj mayusi
zindagi tere isti'are hain
teri chahat mein 'ishq ki bazi
jit jaane ke ba'd haare hain
tujh ko khona tujhe KHafa karna
ye KHasare baDe KHasare hain
kash koi kabhi kahe hum se
jaan hum aaj bhi tumhaare hain
jin mein KHushiyan nasib hoti hain
hum ne wo din kahan guzare hain
hum ne duniya mein aa ke dekh liya
aap duniya mein sab se pyare hain
wo meri jaan ke hue dushman
jin ke sadqe kabhi utare hain
main ne kaghaz pe jo likhe the 'sabin'
kuchh mazamin in mein nyare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.