jin ke liye khaDa hun gul-e-tar liye hue
jin ke liye khaḌā huuñ gul-e-tar liye hue
vo muntazir haiñ haath meñ patthar liye hue
jin kī rafāqatoñ pe mujhe naaz hai bahut
phirte haiñ āstīn meñ ḳhanjar liye hue
yuuñ bār-e-ġham uThā ke chaloge kahāñ talak
maġhmūm chehra aur dil-e-muztar liye hue
itrānā māl-o-zar pe miyāñ chhoḌ-chhāḌ do
kyā kuchh gayā jahāñ se sikandar liye hue
'sārim' gunah se apne hai nādim bahut magar
baḳhshish kī aas aaya hai dar par liye hue
jin ke liye khaDa hun gul-e-tar liye hue
wo muntazir hain hath mein patthar liye hue
jin ki rafaqaton pe mujhe naz hai bahut
phirte hain aastin mein KHanjar liye hue
yun bar-e-gham uTha ke chaloge kahan talak
maghmum chehra aur dil-e-muztar liye hue
itrana mal-o-zar pe miyan chhoD-chhaD do
kya kuchh gaya jahan se sikandar liye hue
'sarim' gunah se apne hai nadim bahut magar
baKHshish ki aas aaya hai dar par liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.