jin ke liye zamane ka hum zahr pi chale
jin ke liye zamane ka hum zahr pi chale
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
jin ke liye zamāne kā ham zahr pī chale
ho kar vo bad-gumān ba-sad-be-ruḳhī chale
kuchh der Thahriye ki zarā dil kī baat ho
aa.e abhī abhī haiñ janāb aur abhī chale
ghar se nikal ke ham to sar-e-dasht aa ga.e
dekheñ kahāñ talak ye ġham-e-āshiqī chale
jaise kabhī bhī ham se koī vāsta na ho
vo chal rahe haiñ jaise koī ajnabī chale
ham rah-ravān-e-shauq ko manzil se kyā ġharaz
ham ko jidhar tumhārī Dagar le chalī chale
apne lahū se ḳhuub hue surḳh-rū 'majīd'
ham par hazār sang-e-sitam aaj bhī chale
jin ke liye zamane ka hum zahr pi chale
ho kar wo bad-guman ba-sad-be-ruKHi chale
kuchh der Thahriye ki zara dil ki baat ho
aae abhi abhi hain janab aur abhi chale
ghar se nikal ke hum to sar-e-dasht aa gae
dekhen kahan talak ye gham-e-ashiqi chale
jaise kabhi bhi hum se koi wasta na ho
wo chal rahe hain jaise koi ajnabi chale
hum rah-rawan-e-shauq ko manzil se kya gharaz
hum ko jidhar tumhaari Dagar le chali chale
apne lahu se KHub hue surKH-ru 'majid'
hum par hazar sang-e-sitam aaj bhi chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.