jin ke raston se sada maine haTae patthar
jin ke rastoñ se sadā maiñ ne haTā.e patthar
vo mire sar ke liye DhūñD ke laa.e patthar
maiñ ne dekhā ki mire shīsha-e-jāñ par ik din
tere kūche meñ har ik samt se aa.e patthar
maiñ jise dekh ke hāthoñ meñ duā.eñ pahnūñ
vo mujhe dekh ke hāthoñ meñ uThā.e patthar
jo mujhe tere ta.alluq se mile maiñ ne vahī
kabhī chūme kabhī āñkhoñ se lagā.e patthar
maiñ use zaḳhm-e-mohabbat pe sajā kar rakkhūñ
dasht-e-ulfat se jo mere liye aa.e patthar
terī āñkhoñ ke taġhāful se tire pahlū meñ
jab mire ḳhvāb nahā.e to nahā.e patthar
us kī ḳhushbū kī talab meñ jo maiñ ghar se niklī
us ne phūloñ kī tarah mujh pe luTā.e patthar
vo haiñ phūloñ kī tarah merī nazar meñ 'afroz'
jitne bhī mere lahū meñ haiñ nahā.e patthar
jin ke raston se sada main ne haTae patthar
wo mere sar ke liye DhunD ke lae patthar
main ne dekha ki mere shisha-e-jaan par ek din
tere kuche mein har ek samt se aae patthar
main jise dekh ke hathon mein duaen pahnun
wo mujhe dekh ke hathon mein uThae patthar
jo mujhe tere talluq se mile main ne wahi
kabhi chume kabhi aankhon se lagae patthar
main use zaKHm-e-mohabbat pe saja kar rakkhun
dasht-e-ulfat se jo mere liye aae patthar
teri aankhon ke taghaful se tere pahlu mein
jab mere KHwab nahae to nahae patthar
us ki KHushbu ki talab mein jo main ghar se nikli
us ne phulon ki tarah mujh pe luTae patthar
wo hain phulon ki tarah meri nazar mein 'afroz'
jitne bhi mere lahu mein hain nahae patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.