Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jin ki baaton mein koi KHam na mile

Neeraj Naveed

jin ki baaton mein koi KHam na mile

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    jin bātoñ meñ koī ḳham na mile

    ḳhuub DhūñDhā ḳhudā-qasam na mile

    un se mil kar to aa ga.e lekin

    baa'd milne ke ham ko ham na mile

    kaun tā-'umr ḳhush rahā hai yahāñ

    kaun aisā hai jis ko ġham na mile

    maiñ kahīñ hosh na kho baiThūñ

    us se kahnā ki ek dam na mile

    ham kahīñ pīchhe rah ga.e ḳhud se

    vaqt ke saath ye qadam na mile

    'umr kam hai to kyā huā ki hameñ

    tajrabe zindagī se kam na mile

    tab samajhnā ki kāmyāb ho tum

    agar apnoñ aañkh nam na mile

    bas yahī hai du'ā ḳhudā ham ko

    jo zarūrat hai us se kam na mile

    jin ki baaton mein koi KHam na mile

    KHub DhunDha KHuda-qasam na mile

    un se mil kar to aa gae lekin

    ba'd milne ke hum ko hum na mile

    kaun ta-'umr KHush raha hai yahan

    kaun aisa hai jis ko gham na mile

    main kahin hosh hi na kho baiThun

    us se kahna ki ek dam na mile

    hum kahin pichhe rah gae KHud se

    waqt ke sath ye qadam na mile

    'umr kam hai to kya hua ki hamein

    tajrabe zindagi se kam na mile

    tab samajhna ki kaamyab ho tum

    agar apnon ki aankh nam na mile

    bas yahi hai du'a KHuda hum ko

    jo zarurat hai us se kam na mile

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now